De-branding totkay
1) Ramazan shuru honay se pehle aik achi si “Ramazan Mubarik” ki tasveer download karain. Canva ya kisi b mobile app pe jayen aur neeche konay main apna logo lagayen. (Logo ka size bara aur Ramazan Mubarik ka size chota b kar sakte hain)
2) If you “Live here and there as well”, tou aap Ramazan ki bajaye “Ramadan” likh sakte hain.
3) Ye tarkeeb har eid pe aur har islami tehwar pe aazmayen, inshaAllah faida ho ga. Agar Poori contact list ki naak main damm karna hai tou har jummay k liye aik broadcast list b bana sakte hain.
4) Saath main mushkil se angrezi alfaz ka aik cliche sa caption lagana be-hadd zaroori hai.
5) Zaroori Note: Poora saal iss k ilawa koi creative kaam karne ki koi zaroorat nahi hai, Marketing pe paise aur damaag lagayen ge tou apna waqt barbaad karain ge.Shukria.